Is class me hum English grammar ki poori foundation strong karenge, taaki bachche school exams me hi nahi, balki daily life me bhi confidently English bol aur likh saken.
Course me Nouns, Pronouns, Verbs, Adjetives, Adverbs, Tenses, Prepositions, Conjunctions, Interjections, Articles aur sentence formation ke basics cover honge.
Har topic ko easy examples, colourful notes aur fun activities ke saath samjhaya jayega, jisse bachchon ko boring grammar interesting lage.
Har week worksheets aur mini tests honge, jisse unki practice ho aur progress track ki ja sake.
Class interactive hogi – bachche questions pooch sakte hain, games khelte hue seekh sakte hain aur real-life examples se grammar ka use samajh sakte hain.
Goal simple hai – English Grammar ko easy, fun aur life-long skill bana saku .
Aur main session ke end hone ke baad agar yahan possible ho toh ek study material bhi provide kar dunga jisse apko is pure class ko revise karne me madad mile.