Pariwahan chapter 3 hogi
Pariwahan ped podhon mein
Behatrin class hoga. Jaisa diagram bole banane banana hoga.. easy hoga.. jyada hard nahi. Topic se hi related.
Hum abhi B Ed teachers course kar rahe hain. Hame 1 mahina ka teachers training ke liye bheja gaya tha. Students sab ko achha laga. Students ne kahan unhe aisa teacher unhone nahi dekha jo itne se samjhate hai.. hum smart class theory class mein le aate hai.. yaani practical hi le aate hai class mein. Agar flower ki padhai hogi to flower hi real le aata hoon. Agar pariwahan ki baat ho rahi hai ped podhon mein chota podha hi le aata hoon. Kyunki jab jab bachha ped podhon ko class ke bahar reality mein dekhenge to jyada achha se smajh aayega.
Chapter Reproduction in Humans nahi padhaunga bas..school mein padhai hota hai. baaki biology ke saare chapters ko padhaunga. Physics ke bhi chapters ko padha dunga time mile toh. Science ke teacher hoon to padhana hai.. nischint rahiye. Jab guru hai to chinta karne ka jarurat nahi.
Chalo padhte hain Bihar State Board ke Bachhon.